Monday, 26 April 2010

tu badta chal...tu badta chal.

use of all names is fully intentional. however any misuse(if any) may please be excused. my knowledge of hindi is quite limited


chala jo tu akela yun..
ki niyati ka hai ye man
tu badta chal...tu badta chal.

akash aaj ghana sa hai,
nisha bhi ye gayi hai tham,
raasta bada hai ye,
aur tarun hain tere kadam,
tu badta chal...tu badta chal.

chalna hi teri shaili hai,
ankit kar tu har kadam,
aadesh hai tera yahi,
tu badta chal...bas badta chal.

waqt jo guzar chuka,
na smruti mein uski tham,
kar prayog vinoj ka,
hai tanvi sa tera ye man.
tu badta chal...tu badta chal.

alok subhe jo hoga fir,
preeti se bhar jaayega man,
akansha hogi puri,
dur honge saare gam,
tu badta chal...tu badta chal.